WordPress Par Free Blog Kaise Banaye in Hindi ?

WordPress par blog banana bhi blogspot par blog banane jaisa hi hai. bas fark sirf itna hai ki blogspot free hai aur wordpress paid hai. Aur is par blog banane ke liye aapko kisi hosting site se hosting leni padegi. iss post me mai aapko wordpress par blog banane ke bare me kuch important bate batane ja raha hu. jisse aap aasani se wordpress blog bana sakte ho.

WordPress Blog Tips and Tricks Hindi.

WordPress Par Free Blog Kaise Banaye

WordPress Blogspot Se kyu behtar hai ?

WordPress aur Blogspot Dono blgging platform hai. WordPress par unlimited feature hota hai. Aur blog par humara pura control rahta hai. jabki Blogspot blog par humara pura control nahi hota or isme feature bhi limit hote hai. yani Blogspot ko Loha mane to wordpress ko sona manna galat nahi Hoga. wordpress blog banane se pahle ek bar ye post or pad le Blogpost Vs WordPress Kounsa Platform Behatar Hai.

WordPress Blog Ke Liye Hosting Kaha Se Kharide ?

Hosting humare phone ke memory card ki Tarah hai. jis Tarah memory card me humare songs, videos, movies, photos data save rahti hai. bilkul waise hi hosting par humare blog ki sabhi data save rahti hai. Maine digital ocean ki free hosting ke bare me pahle se bataya hai, aap chahe to iss post ki help se free hosting le sakte hai. Digital Ocean Par Free Hosting Kaise Kharide Cloudways Se. or agar aap paid hosting lena chahe to mai aapko suggest karunga ki aap Hostgator ya Bluehost se hosting kharide.  Mai filhal Hostgator ki hosting use Karta hu.

WordPress Par Free Blog Kaise Banate Hai?

wordpress par blog banane ke liye aapko hosting leni padegi. wese to aap wordpress.com par free blog bhi bana sakte ho but usme aap theme change nahi kar sakte or kuch customizing kar sakte. agar aap wordpress par new hai to mai aapse kahunga ki aap ek bar kisi free hosting dene wali site se hosting le kar wordpress ko pahle samajh le. uske bad kisi achi hosting site se hosting le kar blog banaye.

Yaha mai aapko wordpress.com par free blog banane ke bare me bata raha hu. agar aap paise kamane ke liye blog banana chahate hai to hosting le kar hi blog banaye.

Step 1

Sabse pahle wordpress.com site par jaye aur create blog par click kare.

Wordpress free blog create

Create blog par click karte hi aapko koi theme choose Karne ka option aa jayega. aap apni pasand se koi Bhi theme select kare.

Step 2

Ab Aapko blog ka koi bhi domain select karna hai. free domain ke liye domain me wordpress.com lagaye jaise examplale.wordpress.com

image me bataye anusar free domain ke samne select par click kare.


Step 3

ab aage iss page par select free plan par click kare.


Step 4
  1. Apna email address Enter kare jisse aap WordPress blog banana chahate hai.
  2. username select kare.
  3. strong password banaye.
  4. create account par click kare.

Bas ab aapka wordpress par blog ban gaya hai. ab aap se email verify ke liye kaha jayega. email inbox me ja kar wordpress message me link  par click karke verify kar sakte ho.

Ab customizes your site par click Kare aur aap WordPress blog ke dashboard par pouch jaoge. yaha se aap apne Woedpress blog ko handle kar sakte ho.

Consultation

Agar aapko wordpress ke bare me koi sawal puchna hai to Niche comment kare. ya, fir WordPress ke bare me aur adhik jankari ke liye humari site par WordPress se related aur Article Read kare.

Previous
Next Post »